Dhanyvad Prabhu

“DHANYVAD PRABHU”
(© 2022 Adrian Nair. All rights reserved)

Songwriters
Composer: Adrian Nair
Co-composer: Ajay Ramkhelawan
Lyricist: Sonam Saini

CHORUS
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu

PRE-VERSE
Ummid Tumhi Ho Sath Tumhi
Ant Tumhi Aagaz Tumhi

VERSE 1
Aakash Se Dharti Par Aaye
Tum Swarg Se Prathvi Par Aaye
Duniya Se Paap Mitane Ko
Ban Shanti Masiha Tum Aaye
Har Lab Pe Tumhara Naam Rahe
Tum Se Hi Prabhu Pehchan Rahe
Humen Pyar Tumhara Milta Rahe
Aey Mere Masiah God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu

Repeat Chorus

VERSE 2
Jab Paap Chhodkar Hum Apne
Jesus Ki Sharan Me Jaate Hain
Apraadhon Se Hokar Ke Mukt
Hum Janm Naya Tab Paate Hain
Jo Raah Dikhai Yeshu Ne
Us Raah Pe Yunhi Chalte Rahe
Humen Kripa Tumhari Milti Rahe
Aey Mere Masiah God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu

Repeat Chorus

VERSE 3
Hey Parampita Hey Jagatpita
Manav Ke Roop Mein Tum Aaye
Har Kan Me Samaye Ho Tum Hi
Jal, Thal, Nabh, Badal, Varshayen
Jeevan Se Andhere Door Kiye,
Pag-Pag Pe Sambhale Humen Rahe
Tera Hath Sada Yun Hi Sar Pe Rahe
Aey Mere Masiah God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu
Dhanyvad Prabhu Dhanyvad Prabhu
Dhanyvad Tumhe Hey God Ishu

Repeat Chorus

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *